TALEEM OR TARBIYAT (ADAB)

TALEEM OR TARBIYAT (ADAB) (Post-1)

Husn e Akhlaq 💐💐 
Husn -e Akhlaq ki agar aap Defination jab talash karenge to ye payenge ki, Husn e Akhlaq. apno se, gero se mohbbat se pesh aana hi nahi bulki Apne Dushman se bhi Saleeke se pesh aana h haqqkatan yahi wo Husne Akhlaq h.

Husn -e Akhlaq ko agr talash karna h, Dekhna H to Iska sabaq aapko  Tareekh me huzoor nabi e paak  (صَلَّی اللَّهُ عَلَیْہِ وَاٰلِه وَسَلَّمَ) ke daur me to tha hi lekin Aapke baad aapke Aehlebait (radi allahu taala anhu) me ye kasrat se dekhne ko, rawaayte, padhne ko jo  milega wo aur koi nahi aap Aehlebait (Radi allahu taala anhu) hi ka Gharana H. jnha se ye taleem or tarbiyat logon me, rooye zami par di gayi.

Misal ke taur par Dekhiye Ahlebait Radi Allahu taala anhu ko, jab Huzoor Jainul Abedeen Radi Allahu Taala anhu,  apne Waalid, Imam Aali mkaam Huzoor Hussain Alaihissalam ke qaatil ko panah bhi dete h, khaana bhi khilate H, or baad me uske jaane ka intejaam bhi karte H.
( Ye bhi farmate H usse ki me jaanta hu ki tu mere Waalid ka qaatil H.)

Note: Ye bahut bda waaqya H, Ummate Muslima ke liye, or bahut bda dars, sabak H tamam emaan waalon ke liye.

Hame achho se achha sulook hi nahi buro se bhi achha sulook karna Chahiye. Unke liye dua- e karna ki inko Sirate Mustakeem par Gamjan Kar de. Yahi to Deen ka fikre ain h, yahi to Auliya ki taleem H, yahi Husn e Akhlaq H or yahi Adab H.

Ham aaj gero ke sath Achha sulook ya dushman ke sath achha sulook  to rehne hi de, wo Log kya hamse tawaqqaa rakhenge or kya hi Ham kar Paayenge ya karenge, Ham to aaj Us Jagah H, us Maakam Par H, us Daur me H Jnha Par apno ke sath hi  Zulm karte H.

Sarkaar Hame Auliya ki taleem ko samjhne ki taufeeq ata farmaye.

✍🏻Shadab anwar_raisi

Silsila -e Aaliya Raisi Khushhali



#سلسلۂ_عالیہ_رئیسی_خوشحالی

Comments

Popular posts from this blog

مجدد اسلام شیخ ابوبکر شبلی رحمۃ اللّٰه علیہ

Hazrat Imam Al- Waki ibn al- Jarrah (رضی اللہ تعالٰی عنہ) teacher of The great Imam Ash-Shaafi Rehmatullah Aleyhi🌹🌺🌺 🌺🌷🌺🌷🌺🌷🌺🌷🌺