Hazrat Makhdoom Shaah Muhammad Munem Paak Rahmatullāhi Alaihyi 🏵️
Laqab :🏵️🏵️
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Sultaan-ul-Waasileen.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹💐🌸🌸🌹
Aap ki wilaadat 1082 Hijri (1671 A.D.) me Patna (Shaikhpura, Bihar) me hui.
Aap Hazrat Sultaan Ibrāheem bin Ad'ham al-Balkhi Rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.
Hazrat Makhdoom Shams-ud-deen Haqqaani Rahmatullāhi alaihi Aap ke pardaada hain.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌷
🏵️Patna me bunyaadi ta’aleem haasil karne ke baad Patna ke qareeb Barhh jaakar Hazrat Deewaan Sayyed Abu Saeed Ja’afar Muhammad Qadri Rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki aur un ke wisaal ke baad un ke saahabzaade Hazrat Deewaan Sayyed Khaleelullāh Rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
🏵️Phir Hazrat Deewaan Sayyed Khaleelullāh rahmatullāhi alaihi se bai'at ki aur baatini ta’aleem Mukammal hone ke baad un se khilaafat haasil ki.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌺🌺🌺
🏵️Phir Peer ke farmaan par Delhi se Patna tashreef laaye aur shuru me Meetanghat par Meer Taqi masjid me qayaam kiya aur phir Jaame masjid (Hazrat Mulla Meetan masjid) ke pichhe Madrasa me tashreef laaye aur 40 saal tak talba ko Ta’aleem- o Tarbiyat dete rahe.
🏵️Patna me sukoonat ikhtiyaar karne ke baad Aap 3 mahine tak Bihar shareef me Hazrat Makhdoom-e-Jahaan Shaikh Sharf-ud-deen Ahmad Yahyā Maneri Rahmatullāhi alaihi ke mazaar ke qareeb muraaqaba karte rahe aur Roohaani faiz haasil kiya.
🏵️Aap ne Hazrat Khwaja Shaah Muhammad Farhaad rahmatullāhi alaihi ki khidmat me 11 saal rahe aur faiz haasil kiya.
🏵️Aap ne Hazrat Ghauṡ e Aazam Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jeelaani Radiy-Allāhu ta’ala anhu se bhi Roohaani faiz haasil kiya.
🏵️1162 Hijri (1749 A.D.) me Aap ne Khaanqaahe Mumemia ki Taamir ki.
🌹🌹🌹🌹🌹🌺🌷🌷🌺🌷🌺🌺🌺🌷🌷🌷🌷
🏵️Aap Aksar Roza rakhte the. Aap zyada waqt ibaadat o riyaazat Zikr Azkaar me guzaarte.
🏵️Apni khaanqaah me aane waale sab ko faiz ata farmaate.
🌹🌹🌹🌹🌹🌷🌺🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
🏵️Delhi me qayaam ke dauraan Aap ne 3 kitaaben likhi hain.
📚📚📚📚📚
(1) Mukashifaat-e-Munemi (1119 Hijri)📚
(2) Ilhaamaat-e-Munemi (1120 Hijri)📚
(3) Mushaahidaat-e-Munemi (1123 Hijri).📚
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌷🌺🌷🌷🌷🌺🌺🌺🌺🌺🌷
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
🏵️Ek martaba Gurbakhsh naami ek Hindu Yogi aap ki baargaah me aaya. Us ne bataaya ke Main Krishna ka bahot bada bhakt or Puzaari hu aur us ke deedaar (Darshan) karna chaahta hu. Ek arse se deedaar ke liye pure Hind me safar kar raha hu. Is dauraan bahot saare Yogi se mulaaqaat hui magar koi mujhe Krishna ke deedaar nahi kara saka. Aap ke baare me sunkar badi ummeed lekar aap ke paas aaya hu.’ Aap ne use dhyaan (Muraaqaba) karne ke liye farmaaya or Farmaya ki "Meri Aankho Me Dekho". Dhyaan ke dauraan wo khushi se jhumne laga aur jhumte jhumte be-hosh ho gaya. Jab use hosh aaya to us ne bataaya ke ‘Jab main dhyaan me tha tab maine mehsoos kiya ke main Vrindavan me pahunch gaya hu aur maine dekha ke Krishna baansuri baja raha hai jisse vha Par Sab khushi se Jhum Rahe H mene Suna ye Laa Ilāha illallāh Muhammadur Rasoolullāh ki dhoon sunaai de rahi hai. Gopiya jhum rahi hain aur shokh maahol chhaaya hua hai. Ye sab dekhkar main masroor ho gaya aur jhumne laga.’
🏵️Is ke baad wo Musalman ho gaya aur Hazrat ka mureed bankar Aap ki khidmat me hi rehne laga.
🌹🌹🌹🌹🌹🌷🌺🌷🌷🌺🌺🌷🌷🌷🌷🌷
🏵️Aap Hazrat Deewaan Sayyed Khaleel-ud-deen Rahmatullāhi alaihi ke Mureed aur khalifa hain.
Hazrat ne Aap ko ‘Qaadri Qutubiya’, ‘Chishti Khizri’ aur ‘Suharwardi Firdausi’ Silsile ki khilaafat ata farmai hai.
🏵️Aap ko Hazrat Meer Sayyed Asadullāh rahmatullāhi alaihi se ‘Naqshbandi Abul Ulai’ silsile ki khilaafat mili hai.
Aap se ‘Munemi’ silsila jaari hai.
🌹🌹🌹🌹🌷🌺🌷🌷🌷🌷🌺🌺🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🏵️Aap ke khulfa :
(1)Hazrat Maulana Sayyed Hasan Raza RaipuriRahmatullāhi alaihi (Raipur Fatuha)
(2) Hazrat Sayyed Shaah Ghulaam Husain Danapuri Rahmatullāhi alaihi (Chakand, Gaya)
(3) Hazrat Khwaja Rukn-ud-deen Ishq Azeemabadi Rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Makhdoom Shaah Hasan Ali Rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Shaah Qutub-ud-deen urfe Shaah Basawan Rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Sufi Sayyed Muhammad Dayem Rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Shaah Ahlullāh Sani Rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Shaah Khuda Bakhsh Rahmatullāhi alaihi (Rajauli, Nawadah)
(9) Hazrat Shaah Fazil Rahmatullāhi alaihi (Rehi, Patna)
(10) Hazrat Shaah Maneri Rahmatullāhi alaihi (Chishtipur, Bihar)
(11) Hazrat Shaah Wajhullāh Taalib Rahmatullāhi alaihi
(12) Hazrat Shaah Muhammad Azeem Rahmatullāhi alaihi (Delhi)
(13) Hazrat Shaah Raheem-ud-deen Rahmatullāhi alaihi
(14) Hazrat Mulla Jamaal ul Haq Rahmatullāhi alaihi
(15) Hazrat Mulla Kamaal ul Haq Rahmatullāhi alaihi
(16) Hazrat Shaah Nawaazish Ali Rahmatullāhi alaihi
(17) Hazrat Deewaan Sayyed Saahib-e-Aalam Rahmatullāhi alaihi
(18) Hazrat Shaah Ghulaam Nabi Alwari Rahmatullāhi alaihi
🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🏵️Aap ka wisaal 11 Rajab 1185 Hijri (October 1771 A.D.) ko 103 saal ki umr me hua. Aapka urse 11 Rajjab ko manaya Jaata h aur 2-3 Din Khoob Muhibbane Allah waale aapki ziyrat ke liye Aate H.
🏵️Aap ka Mazaar Aaraam Gaah Patna (Bihar) me Jaama Masjid ke bagal me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Makhdoom Shaah Muhammad Munem Paak rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko Mukammal ishq e Rasool aur Peer ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Nemathy Deen Se Hame kar ya Ilaahi Sarfaraz🤲🌷🌷 Shah Munim PaakBaaz E Atqiya Ke Waaste🤲🤲🤲🤲❣️❤️❣️🎼🤲
Aameen.
Comments
Post a Comment