TALEEM OR TARBIYAT (ADAB)
![Image](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhzWyOr0IJMzWcJnTDfOUKRHwNANDTFROnYaFRjSS-cLaTgcqW8cOq9eEoCECRcn1ZUfiBKtcdN1xP8RcWZ4WUIYFLI254dsp_rN8GCP7NjuWY-P3jPk5pjEFVgm8ZqOJg-6plj7xwoEGct/s1600/1675747821484873-0.png)
TALEEM OR TARBIYAT (ADAB) (Post-1) Husn e Akhlaq 💐💐 Husn -e Akhlaq ki agar aap Defination jab talash karenge to ye payenge ki, Husn e Akhlaq. apno se, gero se mohbbat se pesh aana hi nahi bulki Apne Dushman se bhi Saleeke se pesh aana h haqqkatan yahi wo Husne Akhlaq h. Husn -e Akhlaq ko agr talash karna h, Dekhna H to Iska sabaq aapko Tareekh me huzoor nabi e paak (صَلَّی اللَّهُ عَلَیْہِ وَاٰلِه وَسَلَّمَ) ke daur me to tha hi lekin Aapke baad aapke Aehlebait (radi allahu taala anhu) me ye kasrat se dekhne ko, rawaayte, padhne ko jo milega wo aur koi nahi aap Aehlebait (Radi allahu taala anhu) hi ka Gharana H. jnha se ye taleem or tarbiyat logon me, rooye zami par di gayi. Misal ke taur par Dekhiye Ahlebait Radi Allahu taala anhu ko, jab Huzoor Jainul Abedeen Radi Allahu Taala anhu, apne Waalid, Imam Aali mkaam Huzoor Hussain Alaihissalam ke qaatil ko panah bhi dete h, khaana bhi khilate H, or baad me uske jaane ka intejaam bhi karte H. ...